[TRICKS] Bold or Italic Font me kaise likhe, Whatsapp Font Tricks in hindi

Whatsapp Font Tricks in hindi

Whatsapp aaj hmari life ka ek part hai jise hum almost daily use karte hai. whatsapp hmesha new features launch karta rahta hai jise hum whatsapp tricks bhi kahte hai, aaj mai apke sath aisi hi whatsapp font tricks share karne ja raha hu jo whatsapp messenger ne recently launch ki hai jisse aap jaan sakenge whatsapp me Bold or Italic Font me kaise likhte hai.
Whatsapp Font Tricks in hindi

Whatsapp Font Tricks in hindi

Whatsapp me Bold Font me kaise likhe –

Whatsapp me Bold font me likhne ke liye apko jiss Text ko bhi Bold me likhna hai uske dono side * (Star) laga dijiye. Example ke liye apko Hello ko Bold font me likhna hai to ise apko *Hello* likhna hoga.

Whatsapp me Italic Font me kaise likhe –

Whatsapp me Italic font me likhne ke liye apko jiss Text ko Italic me likhna hai uske dono side me _(Underscore) ka use karna hoga. Example ke liye agar apko Hello ko Italic me likhna hai to ise apko _Hello_ likhna hoga jisse ye Italic Font me aa jaega.

Whatsapp me Strikethrough Font me kaise likhe –

Whatsapp me Strikethrough Font yani कटे हुए Font me likhne ke liye apko jiss Text ko Strikethrough font me likhna hai uske dono side ~(Tildes) ka use kana hoga. For Example apko Hello ko Strikethrough me likhna hai to apko whatsapp me ise ~Hello~ likhna hoga jisse ye Strikethrough font me aa jaega.

Whatsapp me Font Size kaaise change kare –
kya aap abhi bhi whatsapp ka default font size use kar rahe hai? waise ham aapko bata de ki aap whatsapp ke font ke size ko change kar sakte hai. iske liye aapko niche diye gaye steps ko follow karna hoga.

Step 1 – Apne Android Phone se Whatsapp open kare aur right side me uper diye hue 3 dot par click kijiye.

Whatsapp Font Tricks in hindi

Step 2  – Ab Setting me jaeiye aur chat par click kijiye. iske bad aapko font size dikhega jisme aap Small, Medium ya Large size me jo chahe chun sakte hai.

Whatsapp Font Tricks in hindi
Important – Yaad rahe iss Whatsapp trick ko use karne ke liye apko apne whatsapp App ko latest Version me Update karna hoga, aap apne old version se iss Whatsapp trick ko use nhi kar sakte.
Asha karta hu apko ye Whatsapp me Bold or Italic Font me likhne ke liye Whatsapp Tricks in hindi pasand aayi hogi, abhi apne friends ko new Bold or Italic Font me message kijiye or unhe bhi whatsapp ki new service se avgat karaye. jald hi apke sath or bhi whatsapp tricks in hindi share karunga, Regular visit karte rahiye.
Tags –
#Whatsapp Font Tricks in hindi

Leave a Comment