Motivational Stories in hindi by Shiv Khera

Motivational Stories in hindi by Shiv Khera

Motivational Stories in hindi by Shiv Khera

Friends Aaj mai Apke sath share karne ja raha hu Motivational Stories in hindi by Shiv Khera. Shiv Khera ek Famous Motivation Speaker hai jinki kitab Jeet Aapki Hindi of You Can Win ek Bestseller Book hai jisne lakho logo ko Motivate kiya hai Aap cahe to unki yah kitaab upper di hui link me jakr Amazon se khreed sakte hai.

To aiye jante hai Motivational Stories in hindi by Shiv Khera

STORY 1
Olympics me Participate katna hi ek bahut badi baat mani jaati hai. Lawrence Lemieux jo ki Olympics khel me Boats Race me participate kar rahe the. Achanak unka ek competitor Race ke dauran ghayal ho gya. Lawrence Lemieux ko Race jitne se behtar uss ghayal competitor ki raksha karna laga. Ve ruk gye or uss ghayal competitor ki madad ki. Aisa karke vo race to haar gye lekin unhone hazaro dilo ko jeet liya or iss kaam ke liye unhe sammanit bhi kiya gya.

STORY 2
Teen logo ne Marathon Race me anya logo ke sath participate kiya lekin jeet ka decision ane ke bad jeet ka Medal keval ek ko hi mila. Anya sabhi ko harne ka gum tha lekin un teen ko nhi kyoki vo khud ki najaro me hare nhi balki jite the. Unhone jiss maksad se race me participate kiya tha vo pura ho chuka tha. Unn teeno ne alag alag vajah se race me participate kiya tha.
Pahle ne apni capacity janne ke liye race me participate kiya tha or bahut achha perform kiya or apni najro me jeet gya. Dusre ka race me bhaag lene ka karan tha pahli race ke comparison me behtar perform karna or vo aisa karne me safal hua. Teesre ne marathon me kabhi participate nhi kiya tha vo bas marathon race me ek bar participate karma cahata tha or vo aisa karke bahut khus tha. Iss tarah un teeno ne marathon race me participate kiya or apni najro me safal bhi hue bhle hi unhe jeet ka medal na mila ho.
Story 1 & Story 2 se Siksha – 
In Motivational Stories in hindi by Shiv Khera se hame kya sikhna cahiye?
Kisi bhi pratiyogita me jeet tab hi nhi hoti jab apko medal milta hai. Aap bina medal jite bhi bahut kuch jeet sakte hai jarurat hai to bus apna najariya badalne ki. Haarne ke dar se kisi pratiyogita me participate na karne se achha hai uss pratiyogita me participate karna or samman purvak haar jana. Yah haar vastav me ek experience hai ek lesson hai.
STORY 3
Ek baar ek vyakti ne apne padosi ko bhla bura bol diya lekin baad me use apni galti ka ahsaas hua or use laga ki use apne padosi ke sath aisa nhi karna cahiye tha. Isliye vo ek baba ke pass gya or apne sabdo ko vapis lene ka uppay pucha. Baba ne kha tum khoob sare chidiya ke pankh ekktra kro or sahar ke bicho bich jakar rakh do uss vyakti ne aisa hi kiya or fir uss baba ke pass aa gya tab uss baba ne use fir se jakar unn pankho ko lane ko kaha jo vo sahar ke bicho bich rakh kar aya tha.
Vo vyakti uss jagah gya lekin saare pankh hawa se idhar udhar ho chuke the or waha koi bhi pankh nhi bacha tha. Vo vyakti khali haath baba ke pass pahucha tab baba ne use bola “theek aisa hi tumhare dwara kahe sabdo ke sath hota hai, tum ashani se bina kuch soche apne muh se sabdo ko nikal to sakte ho par cah kar bhi vapis nahi le sakte”.
Story 3 se Siksha – 
Iss Motivational Story in hindi by Shiv Khera se hame yah sikhna cahiye ki hum jab bhi kisi se gussa hote hai hum uss vyakti ko bhla bura kahkar use hurt karna cahate hai
lekin bad me jab hame hmari galti ka ahsas hota hai to hum maafi to jaroor mang sakte hai lekin apne kahe sabdo ko vapis nhi le sakte or vo insaan bhle hi apko maaf kar de lekin use hurt jaroor hota hai. Isliye kabhi bhi gusse me apna control na khoye. Bhla bura kahne se chup rahna achha hai kyoki kisi dusre ko bhla bura kahkar hum apne aap ko hi kast dete hai.
Asha karta hu aapko ye Motivational Stories in hindi by Shiv Khera pasand aayi hogi. Please in Motivational Stories in hindi by Shiv Khera ko apni social media profile me bhi share kare taki ye Stories jyada se jyada logo tak pahuch sake or in Motivational Stories in hindi by Shiv Khera dwra di gyi siksha un tak pahuch sake.
Tags-
#Motivational Stories in hindi by Shiv Khera
#Shiv khera hindi
#hindi motivational stories

3 thoughts on “Motivational Stories in hindi by Shiv Khera”

  1. शिव खेड़ा जी के बारे मैं मैंनें पहले भी पढ़ा है। पर आपने अपनी पोस्‍ट में जो जानकारी दी है, वह बहुत ही अच्‍छी है। आपने लिखा भी बहुत अच्‍छे ढंंग से है।

    Reply

Leave a Comment